Archive for the ‘Ghazal SMS’ Category
Aa gayii yaad sham Dhalte hii
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
(shahr-e-Gham : city of sufferings)
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
hijr kii raat Dhale na Dhale
hijr kii raat Dhale na Dhale
le Gham-e-jaanaaN ham to chale
diivaane kii maut na puuch
ahl-e-Khirad ne haath male
apnii lagan hai apnaa laag
kaun bure aur kaun bhale
duniyaa meN daanaa hai vohii
jo duniyaa ke saath chale
chashm-e-tamaashaa ye bhii dekh
phuul haNse aur shaaKh jale
bicchRe hu’e dukh “Saif” hameN
ro ro ke milte haiN gale..
dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
aql hairaaN hai, kyaa kiya jaaye
shauq-e-mushkil-pasand, unkaa husuul
saKht aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
ishq-e-KhuubaaN ke saath hii ham meN
naaz-e-KhuubaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
be-sabab hii merii tabii’at-e-Gham
sab se naalaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
baa-vajuud unkii dil-navaazii ke
dil gurezaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
maiN to naqd-e-hayaat laayaa thaa
jins arzaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
ham samajhte the ishq ko dushvaar
ye bhii aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
vo bahaaroN kii naaz-parvardah
ham pe naazaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
misr-e-lutf-o-karam (??) meN bhii ai “Jaun”
yaad-e-kin’aaN hai (??), kyaa kiyaa jaaye….
chhuri jinke haathoN se khaanaa paRe hai
chhuri jinke haathoN se khaanaa paRe hai
Ghazal bhi unhiiN ko sunaanaa paRe hai
tabiiyat ko qaabuu meN laanaa paRe hai
uThThe hai kahaaN Gham, uThaanaa paRe hai
kuch aasaaN nahiiN mansab-e-surKh-ru’ii
ka’ii baar maqtal meN jaanaa paRe hai
na aa dardmandoN ki mehfil meN pyaare
yahaaN umr bhar dil jalaanaa paRe hai
ai sanam jis ne tujhe chaaNd kii suurat dii hai
ai sanam jis ne tujhe chaaNd kii suurat dii hai
usii Allah ne mujh ko bhii muhabbat dii hai
teGh be-aab hai na baazuu-e-qaatil kamzor
kuch giraaN jaanii hai, kuch maut ne fursat dii hai
furqat-e-yaar meN ro-ro ke basar kartaa huN
zindaganii mujhe kyaa dii hai, musiibat dii hai
josh paidaa kiye sun’ney ko tiara zikr-e-jamaal
dekhne ko terii aankhoN meN basaarat dii hai
kamar-e-yaar ke mazmuuN ko baandho “Aatish”
zulf-e-khuubaaN sii mire tum ko tabiiyat dii hai
ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
ko’ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii
subh hote hii nikal aate haiN baazaar men log
gaThriyaaN sar pe uthaaye hu’e iimaanoN kii
apnii poshaak se hoshiyaar ke Khuddaam-e-qadiim
dhajjiyaaN maaNgte haiN apne gariibaanoN kii
san’ateN phailtii jaatii haiN magar iske saath
sarhadeN tuuTtii jaatii haiN gulistaanoN kii
unko kyaa fikr ke maiN paar lagaa ke Duubaa
bahes karte rahe saahil pe jo tuufaanoN kii
maqbare bante haiN zindoN ke makaanoN se baland
kis qadar auj pe takriim hai insaanoN kii
Aa gayii yaad sham Dhalte hii
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
(shahr-e-Gham : city of sufferings)
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
dayaar-e-Gair me.n kaise tujhe sadaa dete
dayaar-e-Gair me.n kaise tujhe sadaa dete tuu mil bhii jaataa to tujhe ga.Nvaa dete [dayaar-e-Gair=alien/unknown place; ga.Nvaa denaa=to lose] tumhii.n ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varanaa duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa dete hame.n ye zom rahaa ab ke vo pukaare.nge unhe.n ye zid thii ke har baar ham sadaa dete [zom=illusion] vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii ke jis ko haal sunaate use rulaa dete [taasiir=effect; lahajaa=style] tumhe.n bhulaanaa hii avval to dastaaras me.n nahii.n jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete [avval=firstly; dastaaras=within reach; iKhtiyaar=control] tumhaarii yaad ne ko_ii javaab hii na diyaa mere Khayaal ke aa.Nsuu rahe sadaa dete sama'to.n ko mai.n taa-umr kosataa Syed vo kuchh na kahate magar ho.nTh to hilaa dete
