Archive for the ‘Hazrat Ali SmS’ Category
Hazrat Ali Ne farmaya
Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay
Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
Best Of Hazrat Ali (A.R)
tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai
bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay
Hazrat ali Quates
Yeh zindagi 2 din ki hai
1 din tumharay haq mai aur
1 din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)
Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai.
Or
Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat Hai.
